Tuesday, March 11, 2014

Bacche aur Football..

Chaude sadak ke paas zameen ke chhote se tukde pe football khelte hue ye bacche,
Bebaak, befikr, bekhauf, duniya se bekhabar, yaha se waha bhaagte hue,
Sadak kafi badi hai, dono or se gadiyaan saain saain nikal rahi hain, horn baja rahi hain, 
Magar inhe iska hosh kahan, dar kahan? 
Inhe to bas ye dar hai ki gend unke goal post ke us paar na chali jae,
Aur Gend kahin khelte khelte sadak pe chali gayi to, to jisne mari use lani hogi...
Khel ke niyam bahut saral hain, magar in bacchon ki ankhon me gehri dilchaspi hai..
Inke liye ye mehaz khel nahi, inke jeevan ka ek atoot hissa hai, jiske bina inka din pura nahi ho sakta..
kuch der ke liye ye khel hi inka jeevan hai, aur wo zameen ka tukda inki duniya,

Kuch gadiyan signal pe aakar rukti hain, aur usme baithe log khidki se in bacchon ko dekhte hain,
Ye log apki aur meri tarah hain, 'modern', 'educated', 'sophisticated',
Inke paas waqt nahi, ye subah uthkar daftar jane ki taiyyari me jut jate hain, 
Aur phir sham ko ghar pahuchne ki jaldi me rehte hain,
Traffic aur signals se inhe sakht nafrat hai..

Magar inhi 'modern', 'educated', 'sophisticated' logon me se kuch,
jab majbooran signal pe aake rukte hain, aur itni zindadili se football khelte hue bacchon ki janib dekhte hain,
unki ankhen inpe tiki ki tiki reh jati hai....
waqt, kuch der ke liye, ruk jata hai....

ye bebaakpan, ye befikri, ye bekhabri, ye masoomiyat, unhe ek gumshuda shaks ki yaad dila deti hai, 
wo shaks, jo bahut arse pehle, unke andar, kho gaya hai....

Signal khul jata hai, aur tamaam gadiyan aage badh jati hain,
Peeche reh jate hain ye bacche, aur kuch gumshuda logon ki yaadein...

No comments:

Post a Comment